ºÝºÝߣ

ºÝºÝߣShare a Scribd company logo
Personal Information
Occupation
Medical Officer
About
paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne