Yeh waqt phir se kisii imtehaan hi ka na ho
Aur is me abke zayaan apni jaan hi ka na ho,
Suna hai bazm mein sab ki chhalak padi aaNkhen
KahiiN woh zikr meri daastaan hi ka na ho,
Mere qareeb hai tu aur sochtaa huN maiN
K sab tamasha dil E khush gumaan hi ka na ho
Bas ek khyaal se dil khauf khane lagta hai
K is me haath kisii mehrbaan hi ka na ho
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.