A simple guy with full of dreams..
Poem :
---------
Himat karne walon ki haar nahin hoti
Lehro se darke naiya paar nahin hoti..
Nahni chinti jab dana lekar chalti hai
Chadhti diwaro pe so baar phisalti hai
Maan ka biswas rango main sahash bharta hai
chadh kar girna,gir kar chadhana na ukharta hai
akhir uski mehnat bekar nahin hoti
Kkoshis karne walon ki haar nahin hoti..
dubkiyan sindhu me gotakhor lagata hai
Ja ja kar khali haath laut ata hai
milte na sahaj hi moti pani me
badhta duna usthaha eeshi herani me
mutthi uski khali har baar nahin hoti
Himat karne walon ki haar nahin hoti...
ashphalta eek chunnoti hoti hai,swikaar karo
kya kami rah gayee,dekho aur suchar karo
Jab tak na safal