hume khabar hai ..k hum hain chiragh.e.aakhari shab
humary baad andheera nahi ujalla hai ............
S!LenT Vo!c3 .......!!
Merey bass main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa basaoon main
Jahan fakhtaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main
Jhunjhunati saanson ki jhanjharain jo chanak uthain
To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak
Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney
Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak
Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak
Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho
Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak
Jhan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho
Ja