silsilay jo wafa k rakhtay hain
hoslay inteha k rakhtay hain,
hum kabi baddua nahi detay
hum saleeqay saza k rakhtay hain
...
un k daman b jaltay dekhay hain
wo jo daaman bacha k rakhtay hain
hum nahi hain shikast k qayal
hum safeenay jalaa k rakhtay hain
jis ko jana hai wo chala jaye
hum diyay sub bujhaa k rakhtay hain
hum b kitnay ajeeb hain Faraz
jis ko caahay jitaa k rakhtay hain, jis ko chaahay haraa k rakhtay hain.