mujhe guman hai ki chaha hai bahot zamane ne mujhe
mai aziz to sabka hun magar zarooraton ki tarah.
kitne mukhtasar hain meri khushi k lamhe faraz
mere muskurane se pahle hi guzar jate hain.
chahne wale muqaddar se mila karte hai faraz
usne is baat ko tasleem kiya magar mere jaane k bad.
aaj toot kar jo yad aayi uski to ehsaas hua
utar jaate hain jo dil me bhulaye nahi jate.
hum bikne gaye the bazar-e-mohabbat me faraz
kya pata tha dil walon ko log kharida nahi karte.
udasiyon se wabasta hai yeh zindagi meri sahi
khuda gawaah hai phir bhi tujhe hum yad karte hai.