際際滷shows by User: detectivkhan / http://www.slideshare.net/images/logo.gif 際際滷shows by User: detectivkhan / 際際滷Share feed for 際際滷shows by User: detectivkhan https://cdn.slidesharecdn.com/profile-photo-detectivkhan-48x48.jpg?cb=1523485673 Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai