kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
k zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi
yeh teergi jo teri zeest ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k main begana e alam reh kar
tere jamal ki rehnaiyyon mein kho rehta
tera gudaaz badan,teri neem baaz aankhein
inhi haseen fasano mein main ho rehta
Pukaarti mujhe jab talkhiyan zamane ki
tere labon se hawalat k ghooont pi leta
hayaat chhekhti phirti barehna sar aur main
ghaneri zulfon k saaye mein chhupke jee leta
Magar yeh ho na saka,aur ab yeh aalam hai
k tu nahi,tera gham teri justuju bhi nahi
guzar rahi hai kuchhh is tarah zindagi jaise
isey