Hijr Mein Khoon Rulate Ho, Kahan Hote Ho
Lout Kar Kiun Nahi Aate Ho, Kahan Hote Ho
Jab Bhi Milta Hai Koi Shakhs Baharon Jesa
Mujh Ko Tum Kese Bhool Jate Ho, Kahan Hote Ho
Yaad Aati Hein Akele Mein Tumhari Neendein
Kis Tarha Khud Ko Sulate Ho, Kahan Hote Ho
Mujh Se Bichre Ho To Mehbob-E-Nazar Ho Kis Ke
Aaj Kal Kis Ko Manate Ho, Kahan Hote Ho
Shab Ki Tanhai Mein Aksar Ye Khayal Aata Hai
Apne Dukh Kis Ko Sunate Ho, Kahan Hote Ho
Sard Raton Mein Tumhein Kese Bhula Sakta Hoon
Aag Si Dil Mein Lagate Ho, Kahan Hote Ho
Tum To Khushiyon Ki Rafaqat Ke Liye Bichre They
Ab Agar Ashk Bahate Ho, Kahan Hote Ho
Sheher Ke Log Bhi shahzil Yehi Kerte Hein Sawal
Ab Bohat Kam Nazar A