Who Let The Lion Out . . . ! Mein Khuda nahi... Mein rasool bhi nahi... Mein kisi saltanat ka shehzada bhi nahi... Meire paas koi arboon ki jaidad bhi nahi... Meire naam koi bohat si zameenein bhi nahi... Meira naam tareekh ki kitaboon mein bhi nahi... Mein bare bare aur mashoor logon ki ginti mein bhi nahi ata... Mujh mein bohat se aeib hain bohat si buri batein hain lekin mein us chiragh ki manind nahi jo bas bujh gaya ho... Meire badaloon mein kahin kahin ab bhi chingariyan baqi hain... Wo jism aur rooh ki jang ab tak mujh mein hai jo mujhe burai se rokti hai aur neki ki taraf raghib kerti hai... Zindagi ke inhi andheiron mien aik din kho ker reh jaon ga mein... Mein janta hon Mein... Me