hamein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya,
wo chalte chalte itne door chale gaye,
hamein rokna bhi na aaya.
hamne unka naam liya phir bhi,
shayad unhein sunna na aaya.
hamare taqdeer mein unki mohabbat
thi hi nahi,
unke dil mein hamari chahat
thi hi nahi,
unki muskurahat ko hum,
pyaar samajh baithe,
aur hamare pyaar ki koi keemat thi
hi nahi,
ab ashkon ke har katre mein,
bus unka hi naam hota hai,
din raat apni mohabbat ko yaad karna,
deewano ko aur ka kya kaam,
hota hai..........
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.