Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak,
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak...
daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang,
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak...
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab,
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak...
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin,
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak...
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim,
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak...
yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil,
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak...
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj,
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak.
--xx