Main kya hu ye main aaj tak nhi jaan payi,
kehne ko to ek bahut hi smjhdaar insaan hu main,
logo se karti hu badi badi baate,
kuch naa mile to unhi logo se anjaan hu main,
karti hu wafaa aur imandaari ki baate,
per sach mein bahut hi beimaan hu main,
bahut si galtiya ki hai maine bhi,
har us galti k liye bahut hi pashemaan hu main,
yu to hasaya hai kayi rote chehro ko,
haqiqat main kho chuki apni hi muskaan hu main,
iss duniya ki gandagi ne aisa bana diya hai aaj,
ki khud k liye bhi uljhi si pehchaan hu main,
mera wajood kayi rishto se bandha hai,
ek bahut hi adhura sa baaghbaan hu main,
zamana bhar jo samjhe vo uski soch,
per apne har sawaal ka khud hi paayaan h
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.