i believe in "POWER OF NOW"
" Pankh mere ae waqt! toone jab bhi jalaye hai
Housle udne ke mere aur bhi badaye hai,
Likhe mere hisse me kismat ne andhere jitne
Roshni ke liye dil ne utne hi ehsaas jalaye hai
Raftaar ki jaise hi meri kashti ki taraf mouzon ne
majbooti se maine patvaar chalaye hai
Kar chuke hum apni badi ko itna buland
sazde ke liye baadal zameen par jhuk aye hai
poore honge jaroor wo khwaab sabhi
jinko meri palkon ne de kar ek ek lamha sajaye hai
Kafila gamon ka jab bhi bada mere dil ki taraf
khuda gawah hai hum tab bhi muskuraye hai.............."
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.