apni marji se kaha apne safar ke hum hain,
rukh hawao ka jidhar ka udhar ke hum hain..
pahle har chij thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar me kisi dusre ghar ke hum hain...
rukh hawao ka....................................................
waqt ke sath hai mitti ka safar sadiyo se
kisko malum kaha ke hai kidhar ke hum hain
rukh hawao ka.....................................................
chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka nasib
sochte rahte hain kis rahgujar ke hum hain
rukh hawao ka...................................................
apni marji se kaha apne safar ke hum hain"
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.