Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfo ke narm chhao mein guzarne paati
To shadaab ho bhi sakti thi yeh ranj-o-gham ki
Syaahi jo dil pe chai hai tere nazar ki shuwaon mein
Kho bhi sakti thi magar yeh ho na saka
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
Isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi
Na koi raah na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri
Inhi andhero mein rah jaunga kabhi kho kar
Main jaanta hoon meri hum nafaz magar yun hi
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai