Na huaa kabhi kuch hasil mujhe guzara huaa ek saal hun,
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun.
Lashkar hun jo shikasht hun, sukha hua ek darakht hun,
Baqee hai jo wo khawab hun dhundhla sa ek khyal hun.
Dhalti huyi wo shaam hun bujhta hua wo charagh hun,
Ek dard jo na guzar saka muflisi ka wo ek malal hun.
Woh chaman hun jo ujad gaya jahan bahar ab aati nahi,
Murjhaya saa ek phool hun aur sukhi usi ki ek daal hun.
Lahron ka wo sahil hun main jahan lahrein bhi aati nahi,
Taalab wo nadi hun main aur samandar ki ek misal hun.
Na huaa kabhi hasil mujhe guzara huaa ek saal hun,
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun.........
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.