kala chana hame madhumeh, nimn raktchap aur kabj aadi se judi samasyao se bachane mai madad karta hai. Yaha padhe aur bhi Kale Chane ke Fayde aur rahe swasth. Aur adhik jane: http://hrelate.com/kale-chane-ke-fayde/
1 of 7
Download to read offline
More Related Content
Kale Chane ke Fayde: Swasthvardhak Guno Se Bharpur
2. • Kala chana ko garibo ka badam kaha jata hai. Kaha jata hai hai ki yadi aap apne sharir ko
furtila aur swasth rakhna chahte hai to rojana chane ka sevan jarur kare. Chana bahut hi
poshtik hota hai, ise log kai tariko se khana pasand karte hai jaise ankurit, fula hua, bhuna
hua, ubla ya fir tala hua. Ise kisi bhi rup mai khaye yeh sharir ke liye bahut hi faydemand
hota hai to aaiye padhe Kale Chane ke Fayde.
• Kale chane mai carbohydrate, protein, name, chiknai, reshe, calcium, iron aur kai prakar ke
vitamins paye jate hai. Yeh poshak tatv aapke sharir ko kabj, khun ki kami, madhumeh,
piliya jaise rogo se bachata hai sath hi aapko sundar aur tej dimak wala bhi banane mai
madad karta hai. Iske alava yeh hamare baalo aur twacha ke liye bhi faydemand hota hai.
• Chane mai 27 se 28 fisadi iron ki matra hoti hai jo kin a keval sharir ki rakt koshikao ke
nirman mai madad karti hai balki hamare sharir ke hemoglobin ko badha kar kidney ko
bhi namak ki adhikta se dur rakhti hai.
• Bahut se log kale chane ko ankurit kar khana pasand karte hai kyonki ankurit chane mai
chlorophyll, vitamin A, V, C, D aur K ke sath-sath phosphorous, potassium, magnecium,
aur kai prakar ke minerals ka accha strot hota hai.
hrelate.com
4. hrelate.com
• Piliya Rog Mai Faydemand
• Piliya rog ko dur karne ke liye kala chana bahut hi faydemand hota hai. Iske kai tarike
se ham kha sakte hai.
• 100 gram chane ki daal mai 2 glass pani dalkar kuch ghanto tak bhigoye. Ab daal se
pani ko alag kar le aur rogi ko daal ke sath gud rojana 4 se 6 dino tak de. Isse piliya mai
aaram milta hai.
• Iske alava kale chane ka sattu bhi piliya rog se grasit rogi ko dene se piliya mai aaram
milta hai.
• Pathari Ki Samasya Dur Kare
• Aajkal ke dushit pani aur khanpan ki wajeh se hamari kidney aur pet mai pathri ki
samasya hona aam bat ho gayi hai. Iske dur karne ke liye chane ka sevan bahut hi
faydemand hota hai. Iska sevan karne ke liye ratbhar chane ko bhigokar rakhe aur
dusare din subah khali pet bhige huye chane mai shahad milakar khaye. Rojana aesa
karne se pathri hone ki samasya kam ho jati hai. Aur yadi sharir mai pathri hai to use
aasani se nikala ja sakta hai.
• Iske alava chane ke sattu aura aate se bani roti bhi iss samasya se nijad dilate hai.
5. hrelate.com
• Madhumeh Mai Faydemand
• Madhumeh rog se grasit marij ke liye kala chana bahut adhik faydemand hota hai. Iska sevan
karne se sharir aur rakt se glucose ki matra kam hoti hai jisse madhumeh rogiyo ko aaram
milta hai. Iska sevan karne ke liye kale chane ko rat bhar bhigokar rakhe aur rojana subah
khali pet inn chano ka sevan kare.
• Nimn Raktchap Ko Niyantrit Rakhe
• Jin vyaktiyo ko nimn raktchap ki bimari hai unko kale chane ka sevan ka sevan karna
chahoiye. Ise khane ke liye rojana subah khali pet rat mai bhigoye huye 20 gram kale chane
aur 25 kishmish ke dane ya fir munakka ka sevan kare. Isse aapko low blood pressure mai
aaram milega aur chehre ki chamak bhi badhegi.
• Twacha Ke Liye Faydemand
• Twacha sambandhi rog jaise khaj khijali, daad aur charm rog aadi rogo ko dur karne ke liye
rojana apne aahar mai chane ka sevan prarambh kare. Iske alava aap chane ke aate ki rotiyo ko
bhi banakar kha sakte hai.
• Dhup aur dhul-mitti ki wajeh se twacha ke kalepan ko dur karne ke liye 12 chammach besan, 3
chammach dahi ya dudh aur thoda sa pani ko milakar ubtan banaye aur apne gale aur chehre
par male. 10 minute tak malne ke bad naha le. Aesa rojana karne se twacha ka kalapan dur ho
jata hai.
6. hrelate.com
• Chehre Ki Sundarta Badhaye
• Chehre ko sundar banane ke liye rojana chane ke besan ka ubtan banakar apne chehre par
lagaye. Isse chehre ki twacha par jhurriya nahi aati hai aur chehra sundar banta hai.
• Chehre ki jhaiya dur karne ke liye ratri mai 2 bade chammach chane ki daal ko bhigokar
rakhe. Subah daal ko piskar usme dudh, chutki bhar haldi aur 6 bund nimbu ke ras ki milaye.
Ab iss mishran ko apne chehre par lagaye aur sukhne tak intjar kare fir halke gungune pani se
chehre ko dho le. Iss pack ko 3 hafto tak lagane se chehre ki jhaiya dur ho jati hai.
• Kabj Se Rahat De
• Chane mai fiber ki acchi matra hoti hai jisse yeh pachne mai bhi aasan hota hai. Isliye rat mai
bhigoye huye chane se pani ko alag kar usme namak, adarak, jeera mix kar khane se kabj ki
samasya se nijad milti hai. Iske alava iske sevan se bukhar, anemia aadi pareshani dur hoti hai
aur sharir ki gandgi bhi saaf hoti hai.
• Kale Chane ke Fayde: Aur adhik Fayde Inhe Jarur Padhe
• Chane ka rojana sevan karne se bar-bar peshab aane ki samasya dur ho jati hai sath hi urine se
judi kisi bhi prakar ki samasya mai aaram milta hai.
7. hrelate.com
• Mahilao mai yadi garbhpat ki sambhavna ho to mahila ko kale chano ka kadha banakar dena
chahiye isse garbh sthir bana rahega.
• Iske alava rojana chane ka sevan karne se sar dard, twacha ke safed daag, hichki, jukham aadi
rogo mai aaram milta hai.
• Rojana kam-kaj ki wajeh sepurusho ko kamjori aa jati hai. Aese mai rojana bhigoye huye ya fir
ankurit chane ka sevan karne se kamjori dur hoti hai sath hi purusho ki veerya se sambandhit
pareshani aur napunsangta ki bimari bhi dur hoti hai.
• Cough aur kisi bhi prakar ki saans ki samasya ko dur karne ke liye rat mai bhune huye chane
ko chabakar khaye aur fir bad mai dudh pee le. Isse cough aur saans sambandhit samasyao se
rahat milti hai. Iske alava aesa karne se mahilao ki yoni se safed pani aana band ho jata hai.
• Upar aapne padha Kale Chane ke Fayde. Yadi aap bhi upar dee gayi bimariyo aur rogo se grasit
hai to aaj se hi apne dainik jivan mai Black Chickpeas ka istemal shuru kare aur rahe swasth.