Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon
Milnay K Nahi Naayaab Hein Hum
Tabeer hai Jiski Hasrat-o-Gham
Aey Hum'nafas Wo Khwaab Hein Hum
Aey Dard Bata Kuch Tu Hi Pata
Ab Tak Ye Muamma Hall Na Hua
Hum Mein Hai Dil-e-Betaab Nihaa'n
Ya Aap Dil-e-Betaab Hein Hum
Mein Haerat-o-Hasrat Ka Maara
Khamosh Khara Hoon Saahil Per
Darya-e-Mohobbat Kehta Hai
Aa Kuch Bhi Nahi Payaab Hein Hum
Laakhon Hi Musafir Chaltay Hein
Manzil Pay Pohonchtay Hein Do Aik
Aey Ehl-e-Zamaana Qadar Karo
Nayaab Na Hon, Kamyaab Hein Hum
itz just me....!!!
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.