NAAM-O-NASB
Ay mera naam-o-nasb puchnay waly sun lay!
Mery ajdaad ki kabron k purany katbay
Jin ki tehreer mah-o-saal k fitno'n ki naqeeb
Jin ki bosida sile'n same zada shor zada
Or aasaib zamany k rahy jin ka naseeb
Pusht der pusht bila fasl wo ajdaad mery
Apny aaqaon ki mansha thi mashiyat un ki
Ger wo zinda thy to zindonmein wo shamil kb thy
Or merny pe fakat bojh thi maiyat un ki
Jin ko maqtab se lagao tha na maqtal ki khabar
Jo na zalim thy na zalim k muqabil aye
Jin ki masned pe nazar thi na hi zindaa'n ka safar
Ay mera naam-o-nasab puchnay waly sun lay
Esy bay daam ghulamo'n ki nishani main hon!!!
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.