my theme about life
Apno ko bakhso tum muskurahtein
khud bhi suno sada muskurate raho,
na daro kabhi zara sa bhi toofanon se
khwab haseen bas palkon pe sajate raho,
baharon ka baagh banao dil ko apne
mohabbat ki khusbo se use mehkate raho,
dilbar jo kabhi rooth jaye rah-e-wafa mein
apna hai wo yeh soch kar use manate raho,
mayoos jo koi ho jaye jeewan se apne
khuda ki qudrat usse tum samjhate raho,
haan yeh aik bouhat munfarid si baat hai lekin
kabhi kabhi khud ko bhi thoda tum azmaate raho,
roshni do jag ko anderi rahon mein tum
sitaron ki tarha tum har dam timtimate raho,
asaan nahin hai yeh kaam, magr karke dekho
koi shajar bano,dhoop se lo