Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain
magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain
Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain
Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain
Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage
Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta
Bhramar koi