about me: zamaane me ab pyar paaya na jaye,
ye zahar ab kisi se bhi khaya na jaye ,
tere dar se uth jaate ham kab ke lekin
khud apna janaza uthaya na jaaye,
bujhaya hai jaise mera dil kisi ne,
diya bhi aise bujhaya na jaaye,
tamaam isteaare hai sar dar garebaaN
wo aaNkhe hai kaisi bataya na jaaye,
ghar apna khud hi fooke rahta hu lekin,
koi aur ghar ab jalaya na jaaye,
khumar unko jab bhi gham-e-dil sunaoo,
labo ko haNsi se bachaya na jaye!!!
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.