Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum o to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo
Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham
Jaisa tha woh
Hum sahme se rehte koovein mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh
Baadal awara tha woh
Yaar humara
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.