Meri zindagi to firaq hai,
wo azzal se dil me makeen sahi..
wo nigah-e-shoq se dor hen,
rag-e-jaan se laakh qareeb sahi..
sar-e-toor ho,sar-e-hashar ho,
humen intazar qabool hai..
wo kabhi milen,
wo kahin milen,
wo kabhi sahi,
wo kahin sahi..
na ho un par jo mera bas to na sahi,
k ye aashqi hai hawwas nhi..
ma unhi ka tha,
ma unhi ka hun!
wo mere nhi,to nhi sahi..
jo ho faisla wo sunaiye,
isay hashar pe na uthaiye..
jo karen ge ap sitam wahan,
wo abhi sahi,wo yahin sahi..
ussay dekhne ki jo loo lagi,
to dekh hi len ge hum kbhi..
wo hazaar aankh se dor ho,
wo hazaar parda nasheen sahi...!
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.