Tu hai agar mujh se Khafa Khud se Khafa hon mai bhi
mujh ko pahchan ki teri hi ada hon mai bhi
ek tujh se hi nahi fasl-e-tamanna shadab
wahi mausam hoon wahi ab-o-hawa hoon mai bhi
sabt hoon dast-e-Khamoshi pe hina ki soorat
nashonida hi sahi tera kaha hoon mai bhi
chand ban kar tere angan main utar hi jaoon
rat ke pichle pahar mangi dua hoon mai bhi
yoon na murjha ki mujhe Khud pe bharosa na rahe
pichle mausam main tere sath khila hoon mai bhi
mujh ko paana ho to har lamha talab kar na mujhay
raat ke pichhlay pahar maang du'a hoon main bhi
jane kis rah chaloon kaun se ruKh mor jaoon
mujh se mat mil ki zamane ki hawa hoon mai bhi...
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.