Sar-e-mehshar ALI ka ishq aisa kaam kr de ga
Sabilon ki jaga tasneem-e-kousar aam ke de ga
Ye munkir janta hai ke faqat ek nara-e-Hiader
Usay zahir mein batin mein buhat badnaam kr de ga
ALI se bughz jo rakhtay hain wo sab jan le ek din
...Isi ek jurm pe KHALIQ jahannum aam kr de ga
Dast-e-QUDRAT ke isharey ko ALI kehtay hain
HAQ ke pur noor nazaray ko ALI kehtay hain
Tum to kehtay ho ALI ka sahara biddat hai
Hum to NABYION ke saharay ko ALI kehtay hain.
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.