tere galay mein jo banhon ko daal rakhte han
tujhe mananay k kaisa kamaal rakhte han
tujhe khabar ha tujhe sochne ki khatir hum
bohat se kaam muqaddar pe taal rakhte han
koi bhi faisla hum soch ker nahin kerte
tumhare naam ka sikka uchaal rakhte han
tumhare baad ye aadat se ho gai apni
bikharte sookhte pattay sambhaal rakhte han
khushi si milti ha khud ko aziyatain de ker
so jaan boojh ker dil ko nidhaal rakhte han
kabhi kabhi wo humain hans k dekh laite han
kabhi kabhi mera be-had khayal rakhte han
tumhare hijar mein ye haal ho gaya apna
kisi ka khat ho usey bhi sambhal rakhte han
khushi mile to tere baad khush nahin hote
ham apni aankh mein har dam malal rakhte han
zamane b
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.