Ek anjaana sa chehra
mera chain churata hai....
haqiqat me toh nahi
par khwabon me roj aata hai
pehchan ne ki bahut koshish ki maine use
par ek dhundhle se aks ke siva
kuch aur nahi nazar aata hai
maine chhoona bhi chaha use
kai baar aage badh kar
par paas aane se pehle hi
woh bahut door chala jaata hai
khwabon me to khoob karta hai
woh baatein muhjse par
neend khulne par har roj chala jata hai
Ek anjaana sa chehra mera chain churata hai
haqiqat mein toh nahi par khwabon mein roj aata hai...
We’ve updated our privacy policy so that we are compliant with changing global privacy regulations and to provide you with insight into the limited ways in which we use your data.
You can read the details below. By accepting, you agree to the updated privacy policy.